Galiyon se
tere guzarte hai,
Jab ki
raah ho meri, manzil nahi.
Junoon ke
sawaalon ka kya jawaab de,
Mohabbat
ho meri, zidd nahi.
Deewangi
ne ye dastaan sunn ke poocha,
Tabaah
kaise na hue iss intehaan mein?
Nazrein
haske jhuki aur kaha,
Hum toh
fanaa hoke abaad hue unke ishq mein.
Kahin toh
hogi wo zameen,
Jiska
aasmaan itna bereham nahi.
Dhoondne
nikle hai uss mulk ko,
Jahaan
mera naam tujhse judaa nahi.
Intezaar
karenge tera uss mod pe,
Alfaaz iss
kahaani ke saath le aana.
Jo mil na
paaye mere sheher ka rasta,
Deewaro se
mera wajood mitaake aana.
- Sayantani Sarkar.
No comments:
Post a Comment