Monday 14 April 2014

Guzaarish

Ek khwahish hai, chhoti si
Ki koi khayal rakhe.
Bas itna chahiye, aur kuch nahi.

Koi thoda sa dhyaan de,
Koi fikar kare thodi si,
Koi zara sa intezar kare.

Koi ye pooche,
"Kya baat hai. Itni khush kyun ho?"
"Aaj chup ho bahut. Kuch hua hai kya?"


Koi khamoshiyon ko samjhe,
Koi aankhon ko padh sake.
Koi khushiyaan baantle ke liye ho,
Koi gham bhi thoda sa baante.

Koi pareshaan karne ke liye ho,
Koi manaye bhi,
Koi hasa de zara sa,
Aur thoda sa rulaaye bhi.


Koi gale lagaye pyaar se,
Aur aansuon ko behne de,
Koi jo haath thaame,
Koi jo sang chale.

Koi kahe,
"Bhook lagi hai? Chal chinese khaane chalte hai.
"Ghar ki yaad aa rahi hai? Aa ludo khelte hai."


Koi jo saath ho,
Koi paas khada rahe,
Koi aisa jo bas, rahe..


Bas ek hi khwahish hai,
Ki koi khayal rakhe.
Bas itni, itni hi si guzaarish hai.


 - Sayantani Sarkar.